SearchFAQRegisterLogin

Brijinder"Sagar" ka kalaam

aazaad nazms poems etc.

Moderators: Sunita, Neha

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Sun Dec 13, 2009 10:35 pm

Bayzaar


Tujh tak nahiN pahuNchati ab meray dard ki sadaa
Dil hai badhawaas ki aakhir kya hua

Tu hi mujhay bataa yeh insaaf kya hua
Kiska tha gunaah aur kisko mili saza

Bahut roya,tarpa,hua bahut bayzaar dil
Toonay magar kaha ab gham maiN din guzaar dil

Makhsoos meray liayay thay woh teray jo ahsaas
Halaat ki aaNdhi maiN shayad rehay na teray paas

Ab kisi umeed pay "Sagar" na tu thahar
Is aNdhayri raat ki shayad na ho sehar

-----------------------
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Tue Dec 22, 2009 8:37 pm

Dard-e-tanhai

Aao lay jao meray dil kay khazanay
SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay

TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay
TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay

Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi
Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi

Ukta kay uth gaya har aashna kareeb say
Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay

Ik taraf urnay ki lalak
Ik taraf zameeN ki pakar
Ik taraf nai duniya ka shouq
Ik taraf ajnabiyat ka khauf

Magar phit khudi nay behoshi ki aakhri zaNzeer bhi tor di
ParoN maiN apnay hosh ka dum bhar,aasmanoN say hor li

Nigaah phir uth gayi jeet haar kay sawaal say
Ufaq dar ufaq barta gaya noor hosh kay jamaal say

Phir dil dil lay kar gaya yeh wusat-e-ahsaas
Behosh sab hujoom thay laut aayaa maiN udaas

TanhaaioN maiN magar ab bhi
Umeed ki lau jalti hai.

---------------------
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Sat Jan 02, 2010 9:23 pm

Baarish

Swaab si lagi mujhay
Us din baarish ki woh phuaar
Jab
Meray chayray ka usnay
Apnay aaNchal say poNcha paani

----------------------
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Tue Jul 06, 2010 10:17 pm

Teray naam

Jab tu meri aagosh maiN hoti hai
Teri admundhi aankhain
Teray laraztay huay hoNt
Daitay hain bahut si ankahi baatoN ka pataa
Teray jism ki haraarat
UnglioN ki shraarat
NihaaN jaanay kitnay maikhaanoN ka nashaa

Jhatak kar khol daiti ho
Jab tum ghanay syaah gaisu
Aur bar jataa hai un paloN ka khumaar
Phir shiddat say woh jazba
Hai rooh tak mehsoos hotaa
Kartay hain jism jab us pyaar ka izhaar

Purmaaeni ho jaati hai meri hayaat
Hoti hai beshak mukhtsar si hamari mulakaat

Jab tu meri aagosh maiN hoti hai!Sach!
Meri zad maiN hoti hai jaisay saari qaaynaat

------------------------------
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Thu Jul 22, 2010 8:16 pm

Yeh teri adaa

Sotay huay mehsoos kiyay shayad
Meri nighaahoN say barsatay bosay
Ki sharmaa kar ghany baaloN say
Apnay chahray ko dhak liya usnay
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Wed Aug 04, 2010 12:42 am

yaadgaar-e-guzishtah jagaane chale
Khud ko phir aaj hum aazmaanay chalay

kar gayii ham ko diiwaana fan ki lagan
uqta kay dost bhii sabh puraanae chale


dard pii kar chale ham to kuu-ye-ghazal
phir se haiN/[ham] rasm-e-ulfat nibhaane chale

baaqii ummeed kii lau nahiiN bin teray
zindagi "saagar" ab kis bahaane chale
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Tue Aug 10, 2010 8:20 am

Lambi kaali raat

Woh kahkahoN ki Masti
KahaN gayee woh hasti?
Woh khwaaboN pay jaadu karna
Aur yaqeeN main badalanaa
Sabaa say sur milanaa
Tau kabhi taaroN say gungunanaa
Jab hosh nay aaNk kholi
Afkaar say ki macholi
Ab tu bhi udaas kyuoN hai
Tanhai ka paas kyuoN hai
Maanaa shub nay ziNdgi pay teri
Lagaai lambi pheri
Magar raushni kay woh daany
Jiskay tujh main haiN khazaanay
Bo day is kaali raat kay seenay par
--------------------
In devnagri:
लम्बी काली रात

वोह कहकहों की मस्ती
कहाँ गयी वोह हस्ती ?
वोह ख़्वाबों पे जादू करना
और यकीन में बदलना
सबा से सुर मिलाना
तो कभी तारों से गुनगुनाना
जब होश ने आँख खोली
अफकार से की मचोली
अब तू भी उदास क्यूँ है ?
तन्हाई का पास क्यूँ है ?
माना शब् ने जिंदगी पे तेरी
लगाई लम्बी फेरी
मगर रौशनी के वोह दाने
जिसके तुझ में हैं खज़ाने
बो दे इस काली रात के सीने पर
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Re: Brijinder"Sagar" ka kalaam

Postby Brijinder on Fri Aug 20, 2010 3:58 am

Hijr-o-visaal


FazaoN ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki
Afsurda badaloN mein se chand phir muskuraya hai
Takhleeq meri meinNphir aaney lagey hain shokhioN ke dum
Labon pe phir koyee mast naghma ubhar aayaa hai

Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera
Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuonN ke ghataa
Jhumti bal khaati hai barq umeedon ki
Phir se wafa ki zard aarizoN mein noor bhaa

Meri tanhaee bhi soyee hai aaj umroN ke baad
Main bhi khud se mila huin baad muddat ke
Dard ki aankhon mein bhi hein aaj massrrat ke aansoo
Tamanna ko milay phir se pairhan haqeeqat ke

Besood nahin mahabbat ki wus_ ataiN
Dil phir yeh mananay ko karta hai
Khirad phir beybus si khari hai
JunooN phir jaagney ko karta hai

Aaj tu aayee hai to pathra gayee hai shikvon ki zubaaN
Kho gayay hain gilonN ke bol kahinN khalaaonN meinN
Meetha taanaa sa deytaa hai beetee udaasee ka chehra
"Bhool gayaa hai "Sagar" usey vasl ki shuaon meiN"

Abhi kuch pal meinN toot jayega waqt-e-vasl ka dum
Phir se laut jayeNgey hum liye majboorioN ke daaman
Tu meri ho ke bhi meri na hogi kabhi
Teri majbooriaN hain yeh duniya ke bemaar aqayud
Main bhi majboor huuN in haalaat ke haathon humnufs meri
Aatee rahaa karo milnay jab talak mumkin hai
KyuoN na tab talaq ishq ko apnay
vajah miltee rahey jeeney ki
__________________
Brijinder
 
Posts: 87
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:38 pm

Previous

Return to aazaad Poetry

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest

cron