SearchFAQRegisterLogin

mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Moderators: Sunita, Rooh

mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sunita on Sun Aug 24, 2008 9:08 pm

मुझे सहल हो गयीं मंज़िलें वह हवा के रुख़ भी बदल गये
तेरा हाथ हाथ में आ गया कि चिराग़ राह में जल गये

वह लजाये मेरे सवाल पर कि उठा न सके झुका के सर
उड़ी ज़ुल्फ़ चेहरे पे इस तरह कि शबों के राज़ मचल गये

वही बात जो वह कह न सके मेरे शेर ओ नग्मे में आ गयी
वही लब न मैं जिन्हें छू सका क़दहे शराब में ढल गये

वही आस्तां है वही जबीं वही अश्क है वही आस्तीं
दिल-ए-ज़ार तू भी बदल कहीं कि जहां के तौर बदल गये

तुझे चश्म-ए-मस्त पता भी है कि शबाब गर्मी-ए-बज़्म है
तुझे चश्म-ए-मस्त ख़बर भी है कि सब आब्गीने पिघल गये

मेरे काम आ गयीं आख़िरश यही काविशें यही गर्देशें
बढ़ीं इस क़दर मेरी मन्ज़िलें कि क़दम के ख़ार निकल गये

मजरूह सुल्तानपुरी

Mujhe sahal ho gayii manzileN woh hava ke rukh bhi badal gaye
Tera haath haath meN aa gaya ki chiraaGh raah meN jal gaye

woh lajaaye mere sawaal par ki utha na sake jhuka ke sar
uDii zulf chehare pe is tarah ki shaboN ke raaz machal gaye

wohi baat jo woh keh na sake mere sher-o-nagameN mein aa gayi
wohi lab na main jinhe chhu saka kad-esharaab mein dhal gaye

wohi aastaaN hai wohi zabiiN wohi ashq hai wohi aasatiiN
dil-e-zaar tuu bhi badal kahiiN ki jahan ke taur badal gaye

tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ki shabaab garmii-e-bazm hai
tujhe chashm-e-mast khabar bhi hai ki sab aabgiine pighal gaye

mere kaam aa gayi aakharish yehi kaavisheN yehi gardisheN
baDhi iss qadr meri manzileN ki qadam ke khaar nikal gaye


User avatar
Sunita
Site Admin
 
Posts: 3304
Joined: Wed Jun 18, 2008 8:20 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby jimmi on Wed Sep 03, 2008 9:52 pm

khoobsoorat ghazal share karne ka shukariya.
जिंदगी रही तो बार बार मिलेंगे, नहीं तो हरिद्वार मिलेंगे
Manzil to shuru se hi meri shamshaan thi
Par zindagi guzar gayi yahan tak aate aate
jimmi
 
Posts: 2378
Joined: Mon Jun 23, 2008 7:44 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sarwar A. Raz on Thu Sep 04, 2008 2:03 am

a'zeezah Sunita: sat Sri Akal!

:Majrooh: Sultanpuri hamaare bohat achhe shaa,i'roN meN gine jaate the. unhoN ne nah Sirf kitaaboN aur risaaloN meN hee apne adab aur she'r ko pesh kar ke zabaan kee Khidmat kee bal.k a'waam-pasand filmoN meN bhee nihaayat KhoobSoorat geet aur GhazleN likh kar apnaa aur adab kaa naam ooNchaa kiyaa.

yeh Ghazal un kee mash,hoor GhazloN meN se ek hai. mujh ko woh puraanaa zamaanah Khoob yaad hai jab maiN bhee is ko lehak lehak kar gaayaa kartaa thaa! ek dilkash Ghazal ko yahaaN dene kaa bohat shukriyah. is meN kuchh :typos: haiN. kisee mauqe' se dekh leejiYe gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
 
Posts: 45
Joined: Sun Jul 27, 2008 1:16 am

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby waQaar on Thu Sep 04, 2008 7:28 pm

Sunita jii,

bahut khoob ghazal! lut^f aaYa paRh~ ker.

waQaar :)
waQaar
 
Posts: 73
Joined: Sun Aug 31, 2008 10:41 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby tochi on Fri Sep 05, 2008 9:21 am

Majrooh sultaanpuri sahab ke gaane bhi utne hi achhe hain jitni unki ghazal.share karne ka shukariya.
tochi
 
Posts: 662
Joined: Tue Jun 24, 2008 9:01 am

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby simran on Sat Sep 06, 2008 9:52 am

bahut achhi ghazal share ki hai.
simran
 
Posts: 763
Joined: Wed Jul 23, 2008 6:00 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Khalid Mahmood on Thu Sep 11, 2008 8:47 am

shukriya sunita ji! 8-)
Khalid Mahmood
 
Posts: 4407
Joined: Tue Jun 24, 2008 1:08 am

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sunita on Tue Nov 25, 2008 1:42 am

waQaar wrote:Sunita jii,

bahut khoob ghazal! lut^f aaYa paRh~ ker.

waQaar :)


shukariya waqqar sahab
User avatar
Sunita
Site Admin
 
Posts: 3304
Joined: Wed Jun 18, 2008 8:20 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sunita on Tue Nov 25, 2008 1:43 am

tochi wrote:Majrooh sultaanpuri sahab ke gaane bhi utne hi achhe hain jitni unki ghazal.share karne ka shukariya.

thanks and u are welcome.
User avatar
Sunita
Site Admin
 
Posts: 3304
Joined: Wed Jun 18, 2008 8:20 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sunita on Tue Nov 25, 2008 1:43 am

simran wrote:bahut achhi ghazal share ki hai.

shukariya mohatarma.
User avatar
Sunita
Site Admin
 
Posts: 3304
Joined: Wed Jun 18, 2008 8:20 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sunita on Tue Nov 25, 2008 1:44 am

Khalid Mahmood wrote:shukriya sunita ji! 8-)


you are welcome bhaii jaan.
User avatar
Sunita
Site Admin
 
Posts: 3304
Joined: Wed Jun 18, 2008 8:20 pm

Re: mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby vishwaas on Mon Feb 09, 2009 10:06 am

khoobsoorat intekhaab share karne ka shukariya.
vishwaas
 
Posts: 434
Joined: Sun Nov 02, 2008 11:44 pm

Re: mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sunita on Mon Feb 09, 2009 3:59 pm

vishwaas wrote:khoobsoorat intekhaab share karne ka shukariya.


[b]pasandagi ka shukariya[/b]
User avatar
Sunita
Site Admin
 
Posts: 3304
Joined: Wed Jun 18, 2008 8:20 pm

Re: Majrooh Sultanpuri, mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby Sunita on Mon Feb 09, 2009 4:01 pm

Sarwar A. Raz wrote:a'zeezah Sunita: sat Sri Akal!

:Majrooh: Sultanpuri hamaare bohat achhe shaa,i'roN meN gine jaate the. unhoN ne nah Sirf kitaaboN aur risaaloN meN hee apne adab aur she'r ko pesh kar ke zabaan kee Khidmat kee bal.k a'waam-pasand filmoN meN bhee nihaayat KhoobSoorat geet aur GhazleN likh kar apnaa aur adab kaa naam ooNchaa kiyaa.

yeh Ghazal un kee mash,hoor GhazloN meN se ek hai. mujh ko woh puraanaa zamaanah Khoob yaad hai jab maiN bhee is ko lehak lehak kar gaayaa kartaa thaa! ek dilkash Ghazal ko yahaaN dene kaa bohat shukriyah. is meN kuchh :typos: haiN. kisee mauqe' se dekh leejiYe gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar:


shukariya Sarwar sahab aap ne ghazal ko pada aur bataaya ki kuch typo hai.lekin meri mushkil yeh hai ki maine yeh ghazal kahin padi thi, ab kahan padi thi yaad nahin.aap bata den ki kya galti hai to main theek kar dungi.
User avatar
Sunita
Site Admin
 
Posts: 3304
Joined: Wed Jun 18, 2008 8:20 pm

Re: mujhe sehal ho gayiiN manzileN

Postby arun bekhabar on Fri Oct 23, 2009 2:42 pm

waaaaaaaah!

AB :D
arun bekhabar
 
Posts: 67
Joined: Thu Jun 26, 2008 5:35 pm


Return to Majrooh Sultaanpuri

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest

cron